Top 11 Hanuman Bhajan Lyrics in English: श्री हनुमान जी के 11 लोकप्रिय भजन
By worshiping Shri Hanuman ji, the blessings of Hanuman ji are obtained. In today’s article, we will know the lyrics of popular hymns of Shri Hanuman ji in English.
1. Hanuman Bhajan Lyrics – Mangal murati raam dulare
Mangal murati raam dulare
Aan pada ab tere dwaare
Hey bajrang bali hanuman
Hey mahaveer karo kalyaan
Teeno lok tera ujiyara
Dukhiyon ka tune kaaj sanwara
Teeno lok tera ujiyara
Dukhiyon ka tune kaaj sanwara
Hey jagvandan kesri nandan
Kast haro hey kripa nidhaan
Mangal murati raam dulare
Aan pada ab tere dwaare
Hey bajrang bali hanuman
Hey mahaveer karo kalyaan
Tere dwaare jo bhi aaya
Khali nahin koi lot aaya
Tere dwaare jo bhi aaya
Khali nahin koi lot aaya
Durgam kaaj banaavan haare
Mangalmay di jo vardaan
Mangal murati raam dulare
Aan pada ab tere dwaare
Hey bajrang bali hanuman
Hey mahaveer karo kalyaan
Tera sumiran hanumat beera
Naase rog harey sab peera
Tera sumiran hanumat beera
Naase rog harey sab peera
Raam lakhan sita mann basiya
Saran pade ka kije dhyaan
Mangal murati raam dulare
Aan pada ab tere dwaare
Hey bajrang bali hanuman
Hey mahaveer karo kalyaan
Karo kalyaan karo kalyaan
2. Hanuman Bhajan Lyrics – Aaj Mangalwar Hai
( Aaj mangalwar hai – Video )
Aaj mangalwar hai, Mahaveer ka vaar hai, ye sachcha darbar hai
Sachche man se jo koi dhyave, uska beda paar hai
Chait sudi punam mangal ka, janam veer ne paya hai
Laal langot gadaa hath mein, sir par mukut sajaya hai
Shankar ka avatar hai, mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyave, uska beda paar hai
Aaj mangalwar hai…2
Brahma ji ke brahm gyan ka, bal bhi tumne paya hai
Ram kaaj shiv Shankar ne, vaanar ka roop dhariya hai
Lila aparampar hai,mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyave, uska beda paar hai
Aaj mangalwar hai …2
Balapan me mahaveer ne, hardam dhyan lagaya hai
Shram diya rishiyon ne tumko, brahm dhyan lagaya hai
Ram ramadhaar hai, mahveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyave, uska beda paar hai
Aaj mangalwar hai …2
Ram janam huaa ayodhya me, kaisa naach nachaya hai
Kaha raam ne lakshman se, ye vaanar man ko bhaya hai
Ram charan se pyar hai, mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyave, uska beda paar hai
Aaj mangalwar hai …2
Panchvati se mata ko jab, ravan le kar aaya hai
Lanka me jakar tumne, mata ka pata lagaya hai
Akshya ko maar hai, mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyave, uska beda paar hai
Aaj mangalwar hai …2
Meghnath ne brahmfaas me, tumko aan fasaya hai
Brahmfaas me faskar ke, brahma ka maan badhaya hai
Bajrangi baki maar hai, mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyave, uska beda paar hai |
Aaj mangalwar hai …2
Lanka jalai aap ne jab, ravan bhi ghabaraya hai
Shree raam lakhan ko aan kar, mata ka sandesh sunaya hai
Sita shok apaar hai, mahaveer ka vaar hai
Sachche man se jo koi dhyave, uska beda paar hai
Aaj mangalwar hai …2
3. Hanuman Bhajan Lyrics – Hey dukh bhanjan Maruti Nandan
Hey dukh bhanjan Maruti Nandan,
sun lo meri pukar Pawansut vinti baarambaar
ast siddhi naw nidhi ke data
dukhiyon ke tum bhagya vidhata
Siya Ram ke kaj sawaren mera kar uddhar
Pawansut vinti barambar
Hey dukh bhanjan maruti nandan,
sun lo meri pukar pawansut vinti baarambaar
Pawansut vinti barambar
aprampar hai shakti tumhari
tum par reejhe awadh bihari
bhakti bhav se dhyaoo tohe
kar dukhho se par Pawansut vinti baarambaar
Hey dukh bhanjan Maruti Nandan,
sun lo meri pukar Pawansut vinti baarambaar
Pawansut vinti barambar
japu nirantar naam tihaara
ab nahi chodun tera dwar
Ram bhakt mohe sharan me lije
bhav saagar se taar
Pawansut vinti baarambaar
Hey dukh bhanjan maruti nandan sun lo meri pukar
Pawansut vinti baarambaar
4. Hanuman Bhajan Lyrics – Duniya Chale Na Shri Ram Ke Bina
Duniya Chale Na Shree Ram Ke Bina
Duniya chale na shree Ram ke bina, Ram ji chale na Hanumaan ke bina,
Duniya chale na shree Ram ke bina, Ram ji chale na Hanumaan ke bina,
Jab se Ramayan padh li hai, ek baat maine samajh li hai,
Jab se Ramayan padh li hai, ek baat maine samajh li hai,
Raawan mare na shree Ram ke bina, Lanka jale na Hanumaan ke bina,
Duniya chale na shree Ram ke bina, Ram ji chale na Hanumaan ke bina,
Lakshman ka bachna muskil tha, kaun buti lane ke kaabil tha,
Lakshman ka bachna muskil tha, kaun buti lane ke kaabil tha,
Lakshman bache na shree Ram ke bina, buti mile na Hanumaan ke bina,
Duniya chale na shree Ram ke bina, Ram ji chale na Hanumaan ke bina,
Baithe singhaasan par Siyaramji, charano mei baithe Hanumaan ji,
Baithe singhaasan par Siyaramji, charano mei baithe Hanumaan ji,
Mukti mile na shree Ram ke bina, bhakti mile na Hanumaan ke bina,
Duniya chale na shree Ram ke bina, Ram ji chale na Hanumaan ke bina,
Sita haran ki kahaani suni, banwaari meri jubaani suno,
Sita haran ki kahaani suni, banwaari meri jubaani suno,
Sita mile na shree Ram ke bina, pata lage na Hanuman ke bina,
Duniya chale na shree Ram ke bina, Ram ji chale na Hanumaan ke bina,
Duniya chale na shree Ram ke bina, Ram ji chale na Hanumaan ke bina,
Duniya chale na shree Ram ke bina, Ram ji chale na Hanumaan ke bina,
5. Hanuman Bhajan Lyrics – Ram Pe Jab Jab Vipada Aai
( Ram Pe Jab Jab Vipada Aai – Video )
Ram Pe Jab Jab Vipada Aai,
Kaun Bana Rakhwala,
Ram Pe Jab Jab Vipada Aai,
Kaun Bana Rakhwala,
Mera Bajrang Bala,
Mera Bajrang Bala ।
Maat Siya Ko Ram Prabhu Se,
Kaun Milane Wala,
Mera Bajrang Bala,
Mera Bajrang Bala ।
Jitne Bhi Kaam the Mushkil,
Bajrang Ke Hisse Aaye,
Hanumat Ke Siva Koi Bhi,
Sagar Ko Laangh Na Pae,
Ravan Ki Sone Ki Lanka,
Raavan Ki Sone Ki Lanka,
Kaun Jalane Wala,
Mera Bajrang Bala,
Mera Bajrang Bala ॥
Ram Pe Jab Jab Vipada Aai,
Kaun Bana Rakhwala,
Mera Bajrang Bala,
Mera Bajrang Bala ।
Shakti Lagi Lakshman Ko,
Aur Moorchha Bhari Chhayi
Dharti Pe Dekh Lakhan Ko,
Aur Rone Lage Raghurai,
Sanjeevan Lakar Ke Lakhan Ko,
Sanjeevan Lakar Ke Lakhan Ko,
Kaun Jagane Wala,
Mera Bajrang Bala,
Mera Bajrang Bala ॥
Ram Pe Jab Jab Vipada Aai,
Kaun Bana Rakhwala,
Mera Bajrang Bala,
Mera Bajrang Bala ।
Jo Hanuman Na Hote,
Na Hoti Ram Kahani,
Shree Ram Prabhu Ki Mahima,
Ghar Ghar Na Jati Bakhani,
Kahe Pavan Bhakti Ka Danka,
Kahe Pavan Bhakti Ka Danka,
Kaun Bajane Vala ,
Mera Bajrang Bala, Mera Bajrang Bala ॥
Vibhishan Taana Maare,
Bajrangi Sah Na Pae,
Bhakti Kisko Kahate Hai,
Yah Sabako Gyan Karaye,
Bhari Sabha Mein Chir Ke Sina,
Bhari Sabha Mein Chir Ke Sina,
Kaun Dikhane Wala,
Mera Bajrang Bala, Mera Bajrang Bala ॥
Ram Pe Jab Jab Vipada Aai,
Kaun Bana Rakhwala,
Mera Bajrang Bala, Mera Bajrang Bala,
Maat Siya Ko Ram Prabhu Se,
Kaun Milane Wala,
Mera Bajrang Bala, Mera Bajrang Bala ॥
6. Hanuman Bhajan Lyrics – Are Lanka Vaalon Dashaanan Se Kah Do
Are Lanka Vaalon, Dashaanan Se Kah Do,
Are Lanka Vaalon, Dashaanan Se Kah Do,
Hanumaan Lanka Jala Ke Chala Hai,
Churaate Ho Sita Maiya Ko Chhal Se,
Samajhalo Tumhaari Apani Bala Hai,
Are Lanka Vaalon, Dashaanan Se Kah Do,
Hanumaan Lanka Jala Ke Chala Hai.
Ujaade Hain Mainne Ye Baag Saare
Sambhal Jao Varma Jaoge Maare
Gada Se Girae Daanav Hazaaron
Hanumaan Aisa Karake Chala Hai,
Are Lanka Vaalon, Dashaanan Se Kah Do,
Hanumaan Lanka Jala Ke Chala Hai.
Ye Sone Ki Lanka Jala Ke Chala Hun
Anjaam Tumako Bata Ke Chala Hun
Sar Pe Khadakati Hai Raavan Tumhaare
Samajh Lo Khadakaane Ka Samay Aa Gaaya Hai,
Are Lanka Vaalon, Dashaanan Se Kah Do,
Hanumaan Lanka Jala Ke Chala Hai.
Ahankaar Chhodo Na Jivan Ganvao
Bevakt Apani Jaan Na Ganvao
Karega Tumhen Bhi Barbaad Raavan
Tumako Ye Hanumat Bata Ke Chala Hai
Are Lanka Vaalon, Dashaanan Se Kah Do,
Hanumaan Lanka Jala Ke Chala Hai.
Are Lanka Vaalon, Dashaanan Se Kah Do,
Are Lanka Vaalon, Dashaanan Se Kah Do,
Hanumaan Lanka Jala Ke Chala Hai,
Churaate Ho Sita Maiya Ko Chhal Se,
Samajhalo Tumhaari Apani Bala Hai,
Are Lanka Vaalon, Dashaanan Se Kah Do,
Hanumaan Lanka Jala Ke Chala Hai.
7. Hanuman Bhajan Lyrics – Khush Honge Hanumaan
Subah Shaam Aatho Yaam Yahi Naam Liye Jaa
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Subah Shaam Aatho Yaam Yahi Naam Liye Jaa
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Likha Tha Ram Naam Jo Patthar Bhi Tar Gaye
Kiye Ram Se Jo Bair Jeete Jee Vo Mar Gaye
Ram Naam Ki Dhun Pe Nache Ho Karke Matwala
Bajrangi Saa Iss Duniya Mein Koi Na Dekha Bhala
Jo Bhi Hanumat Ke Dar Pe Aagaya Uska Sankat Taala
Mukh Mein Ram Tann Pe Ram Jape Ram Ram Ki Maala
Likha Tha Ram Naam Jo Patthar Bhi Tar Gaye
Kiye Ram Se Jo Bair Jeete Jee Vo Mar Gaye
Bus Naam Ka Ras Paan Ae Insaan Kye Jaa
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Jaha Ram Ka Kirtan Vahi Hanuman
Wahi Hanuman Jati Ho
Godi Mein Ganpati Ko Le Shiv Parvati Ho
Godi Mein Ganpati Ko Le Shiv Parvati Ho
Siya Ram Ki Kripa Se Sau Saal Jiye Jaa
Siya Ram Ki Daya Se Sau Saal Jiye Jaa
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Jispe Daya Shri Ram Ki Banka Naa Baal Ho
Uska Sahayi Lakkha Anjani Kaa Laal Ho
Rajpal Tu Har Haal Mein Jai Jaikar Kiye Jaa
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Subah Shaam Aatho Yaam Yahi Naam Liye Jaa
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Subah Shaam Aatho Yaam Yahi Naam Liye Jaa
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Khush Honge Hanuman Ram Ram Kiye Ja
Jai Shri Ram
Jai Shri Ram
Jai Jai Shri Ram
Jai Jai Bajrangbali
Bolo Hanumanji Maharaj Ki Jai
Bolo Pawan Sut Hanumanji Ki Jai
8. Hanuman Bhajan Lyrics – Mere man bas gaya hai yo anjanee ka hanumaan
Mere man bas gaya hai yo anjanee ka hanumaan.
Anjanee maan ka raaj dulaara,
Pavan pita ka putr ye pyaara mhaara se bhagavan,
Mere man bas gaya hai yo anjanee ka hanumaana.
Laal langota haath men sota,
Laal langota haath men sota mota se saahookaar,
Mere man bas gaya hai yo anjanee ka hanumaan.
Mangal ka din shubh ka hose,
Milya amar varadaan milya amar varadaan,
Mere man bas gaya hai yo anjanee ka hanumaan.
9. Hanuman Bhajan Lyrics – Bajrang Bali Ka Kya Kahna
( Bajrang Bali Ka Kya Kahna – Video )
Duniya Me Dev Hazaro Hain, Bajrang Bali Ka Kya Kahna
Inki Shakti Ka Kya Kahna, Inki Bhakti Ka Kya Kahna
Duniya Me Dev Hazaro Hain, Bajrang Bali Ka Kya Kahna
Ye Saat Samundar Laang Gaye Aur Gadh Lanka Me Kud Gaye
Ravan Ko Darana Kya Kahna, Lanka Ko Jalana Kya Kahna
Duniya Me Dev Hazaro Hain Bajrang Bali Ka Kya Kahna
Jab Lakshman Ji Behosh Huye, Sanjivani Booti Laane Gaye
Parbat Ko Uthana Kya Kahna, Lakshman Ko Jiwana Kya Kahna
Duniya Me Dev Hazaro Hain Bajrang Bali Ka Kya Kahna
‘Banwari’ Inke Sine Me Siya Ram Ki Jodi Rahti Hai
Ye Ram Diwana Kya Kahna, Gun Gaye Jamana Kya Kahna
Duniya Me Dev Hazaro Hain Bajrang Bali Ka Kya Kahna
10. Hanuman Bhajan Lyrics – Aa Laut Ke Aaja Hanuman Lyrics in English
aa laut ke aaja hanuman,
tujhe shri ram bulaate hain,
jaanakee ke base tumame praan,
tujhe shri ram bulaate hain.
lanka jala ke sab ko hara ke,
tumhee khabar siya kee laaye.
parvat utha ke, sanjeevan la ke,
tumane lakhan jee bachae.
he bajarangee balavaan,
tumhe ham yaad dilaate hain.
aa laut ke aaja hanuman..
pahale tha raavan ek hee dhara pe,
jisako prabhu ne sanghaara.
tumane savaare the kaaj saare,
prabhu ko diya tha sahaara.
jag mein he veer sujaan,
bhee tere gun gaate hain.
aa laut ke aaja hanuman..
hai dharam sankat mein dharm phir se,
ab khel kalayug ne khele.
hain laakhon raavan ab to yahaan pe,
kab tak lade prabhu akele.
jara dekh laga ke dhyaan,
tujhe shri ram bulaate hain.
aa laut ke aaja hanuman..
hai ram jee bin tere adhoore,
anajaanee maan ke pyaare.
bhakto ke sapane karane ko poore,
aaja pavan ke dulaare.
karane jag ka kalyaan,
tujhe shri ram bulaate hain.
aa laut ke aaja hanuman..
aa laut ke aaja hanuman,
tujhe shri ram bulaate hain,
jaanakee ke base tumame praan,
tujhe shri ram bulaate hain.
11. Hanuman Bhajan Lyrics – Humne Dil se nahin Bulaya kaise aaenge Hanuman
Kaise aaenge Hanuman kaise aaenge Hanuman
Humne Dil se nahin Bulaya kaise aaenge Hanuman.
Laddu bhog nahin lagaya kya khayenge Hanuman
Humne Dil se nahin Bulaya kaise aaenge Hanuman.
Kaise aaenge Hanuman kaise aaenge Hanuman.
Pawan Putra hai Pawan veg se idhar udhar vah ramte Hain
Anjani ke Lal ki Leela apar Ram Ram bus japate Hain
Humne shradha nahin jagaai kaise aaenge Hanuman
Laddu bhookh nahin lagaya kya khaenge Hanuman
Humne Dil se nahin Bulaya kaise aaenge Hanuman
Kaise aaenge Hanuman kaise aaenge Hanuman.
Maiya Sita ke hai dulare Jag mein Puje jaate Hain
Sankat Mochan naam hai unka, har dil ko vah bhaten Hain
Humne man mein nahin basaya kaise aaenge Hanuman
Laddu bhog nahin lagaya kya khaenge Hanuman
Humne Dil se nahin Bulaya kaise aaenge Hanuman
Kaise aaenge Hanuman kaise aaenge Hanuman.
Lal Roar ke Lal rang se range hamesha rahti Hain
Shradha ke pyase hanumat Hain gadha sath le chalte Hain
Apna angan nahin sajaya kahan baithenge Hanuman
Laddu bhog nahin lagaya kya khaenge Hanuman
Humne Dil se nahin Bulaya kaise aaenge Hanuman
Kaise aaenge Hanuman kaise aaenge Hanuman.
Friends, in today’s article, we have learned the lyrics of popular hymns of Shri Hanuman ji in English, you can tell us your opinion or suggestion in the comment box.